āshiqoñ  ko  ai  falak  devegā  tū  āzār  kyā
dushman-e-jāñ  un  kā  thoḌā  hai  dil-e-bīmār  kyā
rashk  aave  kyuuñ  na  mujh  ko  dekhnā  us  kī  taraf
TakTakī  bāñdhe  hue  hai  rauzan-e-dīvār  kyā
aah  ne  to  ḳhema-e-gardūñ  ko  phūñkā  dekheñ  ab
rañg  laate  haiñ  hamāre  dīda-e-ḳhūñ-bār  kyā
murġh-e-dil  ke  vāste  ai  ham-safīro  kam  hai  kyuuñ
kuchh  qazā  ke  tiir  se  tīr-e-nigāh-e-yār  kyā
chal  ke  mai-ḳhāne  hī  meñ  ab  dil  ko  bahlāo  zarā
'aish'  yaañ  baiThe  hue  karte  ho  tum  begār  kyā