jo  hotā  aah  tirī  āh-e-be-asar  meñ  asar
to  kuchh  to  hotā  dil-e-shoḳh-e-fitnagar  meñ  asar
bas  ik  nigāh  meñ  māshūq  chhīn  leñ  haiñ  dil
ḳhudā  ne  un  kī  diyā  hai  ajab  nazar  meñ  asar
na  chhoḌī  ġham  ne  mire  ik  jigar  meñ  ḳhuun  kī  buuñd
kahāñ  se  ashk  kā  ho  kahiye  chashm-e-tar  meñ  asar
ho  us  ke  saath  ye  be-iltifāti-e-gul  kyuuñ
jo  andalīb  ke  ho  nāla-e-sahar  meñ  asar
kisī  kā  qaul  hai  sach  sañg  ko  kare  hai  mom
rakkhā  hai  ḳhaas  ḳhudā  ne  ye  sīm-o-zar  meñ  asar
jo  aah  ne  falak-e-pīr  ko  hilā  Daalā
to  aap  hī  kahiye  ki  haigā  ye  kis  asar  meñ  asar
jo  dekh  le  to  jahannam  kī  phere  bañdh  jaa.e
hai  merī  aah  ke  vo  ek  ik  sharar  meñ  asar
bigāḌeñ  charḳh  se  ham  'aish'  kis  bharose  par
na  aah  meñ  hai  na  soz-e-dil-o-jigar  meñ  asar