maiñ  burā  hī  sahī  bhalā  na  sahī
par  tirī  kaun  sī  jafā  na  sahī
dard-e-dil  ham  to  un  se  kah  guzre
gar  unhoñ  ne  nahīñ  sunā  na  sahī
shab-e-ġham  meñ  balā  se  shaġhl  to  hai
nāla-e-dil  mirā  rasā  na  sahī
dil  bhī  apnā  nahīñ  rahā  na  rahe
ye  bhī  ai  charḳh-e-fitna-zā  na  sahī
dekh  to  leñge  vo  agar  aa.e
tāqat-e-arz-e-mudda.ā  na  sahī
kuchh  to  āshiq  se  chheḌ-chhāḌ  rahī
kaj-adā.ī  sahī  adā  na  sahī
kyuuñ  burā  mānte  ho  shikva  mirā
chalo  bejā  sahī  ba-jā  na  sahī
uqda-e-dil  hamārā  yā  qismat
na  khulā  tujh  se  ai  sabā  na  sahī
vā.izo  banda-e-ḳhudā  to  hai  'aish'
ham  ne  maanā  vo  pārsā  na  sahī