dhuup  luTā  kar  ambar  jab  kañgāl  huā
chāñd  ugā  kar  phir  se  mālā-māl  huā
sāñjh  phisal  kar  DevḌhī  par  aa  laTkī  hai
āñgan  se  chaubāre  tak  sab  laal  huā
yaad  vahīñ  ThiThkī  hai  jahāñ  tum  chhoḌ  ga.e
lamha  din  saptāh  mahīna  saal  huā
dhuup  aTak  kar  baiThā  ga.ī  hai  chhajje  par
osāre  kā  uThnā  aaj  muhāl  huā
chun  chun  kar  vo  detā  thā  har  dard  mujhe
choT  lagī  jab  ḳhud  ko  to  behāl  huā
kal  tak  jo  detā  thā  utar  prashnoñ  kā
aaj  vahī  uljhā  sā  ek  savāl  huā
chhuTpan  meñ  jis  kī  sañgat  thī  chain  mirā
umr  baḌhī  to  vo  jī  kā  janjāl  huā