mirī  mohabbat  bhī  nīlgūñ  hai
maiñ  us  ko  dūñgī  gulāb  niilā
chamakte  aariz  ghaTā  se  gesū
haTā  diyā  hai  naqāb  niilā
falak  se  aage  palak  se  aage
nazar  meñ  rakkhā  shahāb  niilā
hai  naġhma  āhañg-e-zindagī  bhī
hai  sāz-e-mauj-e-rabāb  niilā
hare  samundar  ke  paas  jā.ūñ
to  vo  bhī  nikle  sarāb  niilā
jo  laal  lafzoñ  se  ḳhat  likhā  thā
mujhe  milā  hai  javāb  niilā
haiñ  zaḳhm  saare  hī  niile  niile
hai  ye  mohabbat  azaab  niilā
rafāqatoñ  ke  safar  se  bojhal
maiñ  likh  rahī  huuñ  nisāb  niilā