Nadeem Gullani

tumhein hamari mohabbaton ke hasin jazbe bula rahe hain

Nadeem Gullani

Sindh, Pakistan

1982

tumheñ hamārī mohabbatoñ ke hasīn jazbe bulā rahe haiñ

jo ham ne likkhe the tum pe hamdam vo saare naġhme bulā rahe haiñ

vahāñ tumhāre bhī bachpanoñ hasīn yādeñ haiñ dafn yaaro

ḳhudā gavāh hai vatan meñ tum ko tumhāre qasbe bulā rahe haiñ

jo haq ġharīboñ khā rahe ho to yaad rakhnā ai hukmarāno

kahīñ pe tum ko bhī zulmatoñ ke sulagte raqbe bulā rahe haiñ

hamāre lahje larzishoñ se samajh sako to samajh bhī jaao

tumhāre ġham se lage jo dil pe vo saare tamġhe bulā rahe haiñ

yaqīn jaano tumhāre jaane ke ba.ad koī rachā na maz.hab

tumhārī tasbīh tumhāre sajde tumhāre kalme bulā rahe haiñ

'nadīm' dānishvaroñ mahfil kabhī na kuchh bhī atā karegī

chalo ki ''jānī-pura'' jahāñ pe vo yaar kamle bulā rahe haiñ

Top Urdushayar.com