ḳhushī  se  ziist  kā  har  dukh  uThā.e  jaate  haiñ
ham  ahl-e-dil  kī  rivāyat  nibhā.e  jaate  haiñ
junūñ  kī  raah  meñ  bujh  bujh  ke  ab  bhī  dīvāne
charāġh  shola-e-jāñ  se  jalā.e  jaate  haiñ
vo  fard-e-jurm  hī  ai  munsifo  nahīñ  merī
mujhe  ye  faisle  jis  par  sunā.e  jaate  haiñ
ta.alluqāt  meñ  do  tarfa  sard-mehrī  hai
bas  ek  vaz.a  ko  donoñ  nibhā.e  jaate  haiñ
ḳhushī  to  DhūñDe  bhī  is  daur  meñ  nahīñ  miltī
ye  kaun  log  haiñ  jo  muskurā.e  jaate  haiñ