tirā  ġham  dil  pe  ifshā  kar  rahe  haiñ
so  dil  se  kār-e-duniyā  kar  rahe  haiñ
tujhe  ab  kyā  batā.eñ  ham  tire  ba.ad
ba-nām-e-zīst  kyā  kyā  kar  rahe  haiñ
hazāroñ  rañj  pai-dar-pai  uThā  kar
bas  ik  ġham  kā  mudāvā  kar  rahe  haiñ
kuchh  aisā  hai  ġham-e-tanhā.ī  dar-pesh
ki  ik  aalam  ko  apnā  kar  rahe  haiñ
kabhī  jo  kaam  chāhat  se  kiye  the
unhīñ  kā  aaj  sadma  kar  rahe  haiñ
ye  zaḳhm-e-dil  salāmat  ham  isī  ko
muqaddar  kā  sitāra  kar  rahe  haiñ
kisī  sūrat  jo  puurī  ho  na  paa.e
ham  ik  aisī  tamannā  kar  rahe  haiñ
jo  karnā  chāhte  the  bil-irāda
vo  sab  kuchh  be-irāda  kar  rahe  haiñ
unhī  logoñ  ko  hai  duniyā  mayassar
ki  jo  us  se  kināra  kar  rahe  haiñ
vahī  karne  kī  hasrat  jāñ-gusil  hai
ki  jo  karne  kā  charchā  kar  rahe  haiñ