jalā  diyā  hai  ki  is  ne  bujhā  diyā  hai  mujhe
pa  dil  kī  aag  ne  kandan  banā  diyā  hai  mujhe
tirī  talab  kī  atā  hai  ki  jis  ne  misl-e-charāġh
havā-e-dahr  meñ  jalnā  sikhā  diyā  hai  mujhe
maiñ  sab  se  duur  faqat  apne  aap  meñ  gum  thā
kisī  ke  qurb  ne  sab  se  milā  diyā  hai  mujhe
maiñ  ek  zarra-e-nāchīz  kā.enāt  meñ  thā
ye  kā.enāt  sā  kis  ne  banā  diyā  hai  mujhe
so  ab  maiñ  ohda-e-duniyā  se  kyā  ġharaz  rakhūñ
kisī  ne  mansab-e-dil  par  biThā  diyā  hai  mujhe
tamām  umr  jo  rakkhegā  ziist  ko  raushan
tirī  nazar  ne  vo  manzar  dikhā  diyā  hai  mujhe
maiñ  ek  dasht  thā  ḳhud  apne  hī  sarāb  meñ  gum
bas  ek  mauj  ne  dariyā  banā  diyā  hai  mujhe