Mubeen Mirza

ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana ho gae hain

Mubeen Mirza

ġhubār-e-rāh-e-tilism-e-zamāna ho ga.e haiñ

ham aaise log bhī āḳhir fasāna ho ga.e haiñ

rahe haiñ raunaq-e-sad-āstāñ vo log ki aaj

ye chand tinke jinheñ āshiyāna ho ga.e haiñ

jo misl-e-abr-e-bahārāñ haiñ dūsroñ ke liye

vo log apne liye tāziyāna ho ga.e haiñ

jahāñ pe aa.e the ik roz tumtarāq ke saath

ba-hasrat aaj vahāñ se ravāna ho ga.e haiñ

to kyā huī vo tamannā daulat-e-bedār

ki saare shauq rasm-e-shabāna ho ga.e haiñ

vo log jin talabgār ik zamāna thā

kisī sāda-dilī nishāna ho ga.e haiñ

kisī chashm-e-taġhayyur ko jin se nisbat hai

maiñ ḳhush huā ki vo ġham jāvedāna ho ga.e haiñ

ab is qadar nahīñ ḳhālī hamārā dāman bhī

gunāh ham se bhī kuchh fāḳhirāna ho ga.e haiñ

vo aur shai hai ki jis ne ghulā diyā mujh ko

ki ye avāriz-e-jāñ to bahāna ho ga.e haiñ

Top Urdushayar.com