jāntā  huuñ  ab  yūñhī  barbād  rakkhegā  mujhe
vo  bhī  lekin  is  bahāne  yaad  rakkhegā  mujhe
ḳhud  mirī  vāraftagī  ne  duur  use  mujh  se  kiyā
ye  ḳhayāl  ab  umr  bhar  nāshād  rakkhegā  mujhe
haal  se  mere  rahegā  be-ḳhabar  bhī  ab  vahī
jo  ki  mhv-e-vahshat  o  uftād  rakkhegā  mujhe
mehrbāñ  jab  ho  to  kartā  hai  asīrī  kā  savāl
vo  ḳhafā  hai  jab  talak  āzād  rakkhegā  mujhe
ḳhud  se  bhī  pahle  rakhā  thā  mujh  ko  jis  ne  kal  talak
lag  rahā  hai  ab  vo  sab  ke  ba.ad  rakkhegā  mujhe