ik  naqsh  bigaḌne  se  ik  had  ke  guzarne  se
kyā  kyā  nahīñ  mar  jaatā  ik  ḳhvāb  ke  marne  se
ab  arsa-e-hastī  meñ  sad-rañg  manāzir  haiñ
is  ā.ina-e-dil  meñ  ik  aks  utarne  se
ik  umr  kī  kāvish  se  ham  ne  to  yahī  jaanā
sab  kaam  sañvarte  haiñ  is  dal  ke  sañvarne  se
raazī  haiñ  ba-sad  raġhbat  ai  jān-e-tamannā  ham
ye  baat  jo  ban  jaa.e  sau  baar  bhī  marne  se
vo  mauj  hī  aisī  thī  jañgal  jo  uḌā  le  jaa.e
kis  tarah  bachāte  phir  ham  ḳhud  ko  bikharne  se