Hasan Akhtar Jaleel

ek bhayanak tirgi hai raushni ai raushni

Hasan Akhtar Jaleel

ik bhayānak tīrgī hai raushnī ai raushnī

sham-e-jāñ bujhne lagī hai raushnī ai raushnī

kyā koī bhaTkā huā jugnū idhar bhī aa.egā

raat gahrī ho chalī hai raushnī ai raushnī

āsmānoñ par sitāre haiñ na sīnoñ meñ sharār

ye qayāmat ghaḌī hai raushnī ai raushnī

ḳhatm kab hogā ye ehsās-e-ziyāñ rat-jagā

ek ik lamha sadī hai raushnī ai raushnī

ham añdheroñ ke havārī ban ke zinda haiñ magar

zindagī sharmindagī hai raushnī ai raushnī

apnī qismat meñ hai nok-e-ḳhār shāḳh-e-bahār

phuul haiñ phuljhaḌī hai raushnī ai raushnī

Top Urdushayar.com