Hasan Akhtar Jaleel

dil ko aamada-e-wafa rakhiye

Hasan Akhtar Jaleel

dil ko āmāda-e-vafā rakhiye
āñdhiyāñ haiñ diyā jalā rakhiye
kitnī sadiyoñ kī barf pighlī hai
sail kā rāsta khulā rakhiye
ban ke laavā bahegā josh-e-numū
ab na is aag ko dabā rakhiye
ḳhuun ahl-e-nazar se gulgūñ hai
ḳhaak kā naam kīmiyā rakhiye
jo sahar kī kiran se phūTe haiñ
un añdheroñ kā naam kyā rakhiye
jaltī shāmoñ kī is chitā pe 'jalīl'
ik na.ī sub.h kī binā rakhiye
Top Urdushayar.com