Hasan Akhtar Jaleel

shab ki dahliz se kis hath ne phenka patthar

Hasan Akhtar Jaleel

shab dahlīz se kis haath ne pheñkā patthar

ho gayā sub.h mahkā huā chehra patthar

kuchh anokhī to nahīñ merī mohabbat shikast

aa.ine jab bhī muqābil hue jiitā patthar

is tilismāt vaadī meñ palaT kar bhī na dekh

varna ho jā.egā ḳhud terā sarāpā patthar

yaad lahr bahā laa.ī hai kis des mujhe

hai yahāñ vaqt bahtā huā dariyā patthar

kis ke paikar meñ samātā mire ehsās loch

maiñ ne insāñ se ḳhajil ho ke tarāshā patthar

terī āñkhoñ meñ abhī niiñd ke Dore kyuuñ haiñ

yaañ to ik choT se ho jaate haiñ biinā patthar

kund kar detā hai yuuñ zehan ko hālāt zahr

jaise ban jaa.e chamaktā huā sonā patthar

terī sochoñ qasam ai mire ḳhāmosh ḳhudā

mujh se karte haiñ itā.at taqāzā patthar

mujh se māyūs na palTe mirī taqdīr ke ġham

merī uñglī meñ na thā koī chamaktā patthar

kitnī dildār hai sāhil chamaktī huī ret

ab nahīñ pāñv-tale koī nukīlā patthar

maiñ sar-e-dār khaḌā huuñ ka.ī sadiyoñ se 'jalīl'

kaun māregā mire jism pe pahlā patthar

Top Urdushayar.com