Hasan Akhtar Jaleel

nibhao ab use jo waza bhi bana li hai

Hasan Akhtar Jaleel

nibhāo ab use jo vaz.a bhī banā lī hai
vagarna dahr to ahl-e-vafā se ḳhālī hai
harīm-e-dil meñ tirī aarzū ne raushan kī
vo aag jis ne shab-e-zindagī ujālī hai
tirī nigāh-e-karam hai vagarna ai ġham-e-dost
zamāna kyā tire shaidā.iyoñ se ḳhālī hai
sitam hai merī taraf pyaar se nazar na kare
vo but ki jis meñ mire fan ne jaan Daalī hai
bajā ki husn kā ehsās hai fareb-e-nazar
magar vo naqsh jo dil meñ hai kab ḳhayālī hai
ufuq se gard chhaTe to ḳhabar mile shāyad
sahar tulū huī hai ki hone vaalī hai
ab ahl-e-bazm ġham-e-tīrgī kareñ to kareñ
hamāre paas to jo sham.a thī jalālī hai
havā ke dosh pe uḌtī huī ḳhabar to suno
havā kī baat bahut duur jaane vaalī hai
Top Urdushayar.com