Rahman Jami

aagahi jis maqam par Thahri

Rahman Jami

āgahī jis maqām par Thahrī
vo faqat merī rahguzar Thahrī
jis ghaḌī sāmnā huā terā
vo ghaḌī jaise umr bhar Thahrī
chal paḌā vaqt jab tire hamrāh
shaam Thahrī na phir sahar Thahrī
har mulāqāt par huā mahsūs
ye mulāqāt muḳhtasar Thahrī
mere ghar aa.ī thī ḳhushī lekin
jā ke mehmān tere ghar Thahrī
har hasīñ se guzar ga.ī 'jāmī'
aa.ine par mirī nazar Thahrī
Top Urdushayar.com