sitam  sahne  kī  tayyārī  bhī  koī  chiiz  hotī  hai
mohabbat  meñ  vafādārī  bhī  koī  chiiz  hotī  hai
bahut  ham  ḳhud-ġharaz  the  jab  mohabbat  kī  to  ye  jaanā
ki  apnī  jaan  se  pyārī  bhī  koī  chiiz  hotī  hai
zarūrī  to  nahīñ  har  baat  hoñThoñ  se  kahī  jaa.e
nigāhoñ  kī  adākārī  bhī  koī  chiiz  hotī  hai
agar  āñkhoñ  se  bah  jaa.eñ  to  ho  jaatā  hai  dil  halkā
badan  meñ  ashk  se  bhārī  bhī  koī  chiiz  hotī  hai
taqāze  us  se  ham  hī  kyuuñ  kareñ  har  roz  milne  ke
hamārī  apnī  ḳhuddārī  bhī  koī  chiiz  hotī  hai
hamāre  ḳhat  jahāñ  paḌhte  ho  yuuñ  hī  Daal  dete  ho
are  kamre  meñ  almārī  bhī  koī  chiiz  hotī  hai
taraf-dārī  tumheñ  aatī  hai  apne  ghar  ke  logoñ  kī
miyāñ  merī  taraf-dārī  bhī  koī  chiiz  hotī  hai
ayādat  ke  bahāne  mere  ghar  vo  roz  aate  haiñ
mohabbat  vāloñ  bīmārī  bhī  koī  chiiz  hotī  hai