fazā-e-dil  meñ  ghanī  tīrgī  sī  lagtī  hai
kahīñ  kahīñ  pe  zarā  raushnī  sī  lagtī  hai
baḌā  ajiib  mohabbat  kā  daur  hotā  hai
kahīñ  pe  maut  kahīñ  zindagī  sī  lagtī  hai
chamakne  lagtī  hai  har  chiiz  mere  kamre  kī
tumhārī  yaad  koī  phuljhaḌī  sī  lagtī  hai
maiñ  sochtā  huuñ  kahūñ  kaise  bevafā  us  ko
mujhe  to  apne  hī  andar  kamī  sī  lagtī  hai
tumhārī  yaad  ko  jab  bhī  gale  lagātā  huuñ
mire  badan  meñ  koī  sansanī  sī  lagtī  hai
koī  bahut  baḌā  tūfān  aane  vaalā  hai
jahāñ  bhī  dekho  havā  chup  khaḌī  sī  lagtī  hai
tumhārī  soch  meñ  maiñ  rañg  apne  bhar  na  sakā
ye  sochtā  huuñ  to  sharmindagī  sī  lagtī  hai