dīvār-o-dar  meñ  simTā  ik  lams  kāñptā  hai
bhūle  se  koī  dastak  de  kar  chalā  gayā  hai
sabr  o  shakeb  baaqī  taab  o  tavāñ  salāmat
dil  misl-e-ūd  jal  jal  ḳhushbū  bikhertā  hai
ham  ḳhaak  ho  chuke  the  apnī  hī  hiddatoñ  meñ
miTTī  hai  raakh  phir  se  paikar  nayā  banā  hai
ik  zaḳhm  zaḳhm  chehra  TukḌoñ  meñ  haath  aayā
aur  ham  samajh  rahe  the  ā.īna  juḌ  gayā  hai
sahrā-e-nīm-shab  meñ  be-ās  retoñ  par
din  bhar  ke  kusht  o  ḳhuuñ  kā  maarā  taḌap  rahā  hai
dahshat-zada  zamīñ  par  vahshat  bhare  makāñ  ye
is  shahr-e-be-amāñ  kā  āḳhir  koī  ḳhudā  hai
mil  jaa.e  ābloñ  ko  dād-e-musāfirat  ab
ab  dard-e-be-navā.ī  kuchh  had  se  bhī  sivā  hai
ham  par  to  khul  chukā  bhī  dar  band  har  balā  kā
kyā  jāniye  ajal  ko  ab  intizār  kyā  hai
gul-chīniyoñ  kā  ham  se  'bilqīs'  haal  pūchho
añgusht-e-ārzū  meñ  kāñTā  utar  gayā  hai