nazar  aatā  hai  vo  jaisā  nahīñ  hai
jo  kahte  ho  magar  vaisā  nahīñ  hai
nahīñ  hotā  hai  kyā  kyā  is  jahāñ  meñ
vahī  jo  chāhiye  hotā  nahīñ  hai
bharā  hai  shahr  firaunoñ  se  apnā
koī  hotā  jo  ik  muusā  nahīñ  hai
chalo  ik  aur  koshish  kar  ke  dekheñ
yūñhī  ghuT  ghuT  ke  mar  jaanā  nahīñ  hai
nahīñ  hai  ḳhvāb  dīvāne  kā  hastī
ye  duniyā  sirf  ik  dhokā  nahīñ  hai
nihāyat  talḳh  hai  sañgīn  sach  hai
haqīqat  apnī  afsāna  nahīñ  hai
namak  ashkoñ  kā  dil  ko  lag  gayā  hai
yahāñ  ab  kuchh  kahīñ  ugtā  nahīñ  hai
jo  karnā  chāhiye  vo  hī  kiyā  hai
milegā  ajr  kyā  sochā  nahīñ  hai
sunā.e  jā  rahe  haiñ  apnī  apnī
ajī  suniye  mujhe  sunñā  nahīñ  hai
hameñ  chheḌe  nahīñ  'bilqīs'  koī
hamārā  aaj  jī  achchhā  nahīñ  hai