Bilqis Zafirul Hasan

pabandiyon se apni nikalte wo pa na the

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
pābandiyoñ se apnī nikalte vo pā na the
sab rāste khule the magar ham pe vā na the
ye aur baat shauq se ham ko sunā gayā
phir bhī vahī sunāyā sunā ik fasāna the
ik āg-sā.ebān thā sar par tanā huā
pal pal zamīñ saraktī thī aur ham ravāna the
dariyā meñ rah ke koī na bhīge to kis tarah
ham be-niyāz terī tarah ai ḳhudā na the
hargiz gila nahīñ hai ki tū mehrbāñ na thā
kab ham bhī apne aap se behad ḳhafā na the
kyuuñ sabr-āshnā na huā nā-murād dil
tere karam ke haath to yuuñ be-atā na the
vo aur ham se pūchhe ki 'bilqīs' kuchh to kah
kam-baḳht ham ki hosh hī apne bajā na the
Top Urdushayar.com