pābandiyoñ  se  apnī  nikalte  vo  pā  na  the
sab  rāste  khule  the  magar  ham  pe  vā  na  the
ye  aur  baat  shauq  se  ham  ko  sunā  gayā
phir  bhī  vahī  sunāyā  sunā  ik  fasāna  the
ik  āg-sā.ebān  thā  sar  par  tanā  huā
pal  pal  zamīñ  saraktī  thī  aur  ham  ravāna  the
dariyā  meñ  rah  ke  koī  na  bhīge  to  kis  tarah
ham  be-niyāz  terī  tarah  ai  ḳhudā  na  the
hargiz  gila  nahīñ  hai  ki  tū  mehrbāñ  na  thā
kab  ham  bhī  apne  aap  se  behad  ḳhafā  na  the
kyuuñ  sabr-āshnā  na  huā  nā-murād  dil
tere  karam  ke  haath  to  yuuñ  be-atā  na  the
vo  aur  ham  se  pūchhe  ki  'bilqīs'  kuchh  to  kah
kam-baḳht  ham  ki  hosh  hī  apne  bajā  na  the