mirī  hathelī  meñ  likkhā  huā  dikhā.ī  de
vo  shaḳhs  mujh  ko  ba-rañg-e-hinā  dikhā.ī  de
use  jo  dekhūñ  to  apnā  surāġh  pā.ūñ  maiñ
isī  ke  naam  meñ  apnā  patā  dikhā.ī  de
ravish  pe  jaleñ  us  kī  āhaToñ  se  charāġh
ajab  ḳhirām  hai  āvāz-e-pā  dikhā.ī  de
jo  mehrbāñ  hai  to  kyā  mehrbāñ  ḳhafā  to  ḳhafā
kabhī  kabhī  to  vo  bilkul  ḳhudā  dikhā.ī  de
samāñ  samāñ  hai  dhundalkā  dhuāñ  dhuāñ  manzar
jidhar  bhī  dekhūñ  bas  ik  ḳhvāb  sā  dikhā.ī  de
junūñ  ne  baḳhsh  diiñ  nazroñ  ko  vus.ateñ  kyā  kyā
ki  zarre  zarre  meñ  sahrā  bichhā  dikhā.ī  de
na  merī  tarah  koī  dekh  le  use  'bilqīs'
maiñ  kyuuñ  batā.ūñ  mujhe  us  meñ  kyā  dikhā.ī  de