aañkh  par  ret  mal  rahe  haiñ  ham
so  zamīñ  ko  bhī  khal  rahe  haiñ  ham
ham  ko  mālūm  be-ḳhudī  apnī
phir  bhī  sahrā  meñ  chal  rahe  haiñ  ham
vāste  de  rahā  hai  sahrā  bhī
ḳhāmushī  ko  nigal  rahe  haiñ  ham
zard  patte  sadā.eñ  dete  haiñ
in  ko  pal  pal  kuchal  rahe  haiñ  ham
'mīr'  kī  kyā  ġhazal  sunī  ham  ne
āshiqī  meñ  bhī  jal  rahe  haiñ  ham
jab  se  dekhā  hai  bānu-e-shab  ko
dil  hī  dil  meñ  machal  rahe  haiñ  ham
be-sabab  kyuuñ  hañsī  satātī  hai
āñsuoñ  se  bahal  rahe  haiñ  ham
aañkh  manzar  badaltī  rahtī  hai
shaam  ke  saath  Dhal  rahe  haiñ  ham