piyā  karte  haiñ  chhup  kar  shaiḳh  jī  rozāna  rozāna
chale  aate  haiñ  aadhī  raat  ko  mai-ḳhāna  rozāna
mohabbat  jaan  bhī  detī  hai  tarsātī  bhī  hai  yaaro
kabhī  paimāna  barsoñ  meñ  kabhī  paimāna  rozāna
pareshāñ  huuñ  kañval  jaisī  ye  āñkheñ  chuum  lene  do
ki  in  phūloñ  pe  manDlāyegā  ye  bhauñrā  na  rozāna
sharāboñ  ko  na  jaane  log  kyuuñ  badnām  karte  haiñ
ki  maiñ  to  mar  gayā  hotā  agar  piitā  na  rozāna
kabhī  chilman  uThā  kar  dekh  to  lo  baat  mat  karnā
ki  dil  thāme  hue  aatā  hai  ik  dīvāna  rozāna
kisī  din  bazm-e-sāqī  se  nikāle  jāoge  'qaisar'
nibhāoge  kahāñ  tak  ThāTh  ye  shāhāna  rozāna