ghar  lauT  ke  ro.eñge  maañ  baap  akele  meñ
miTTī  ke  khilaune  bhī  saste  na  the  mele  meñ
kāñToñ  pe  chale  lekin  hone  na  diyā  zāhir
talvoñ  kā  lahū  dhoyā  chhup  chhup  ke  akele  meñ
ai  dāvar-e-mahshar  le  dekh  aa.e  tirī  duniyā
ham  ḳhud  ko  bhī  kho  baiThe  vo  bhiiḌ  thī  mele  meñ
ḳhushbū  kī  tijārat  ne  dīvār  khaḌī  kar  dī
āñgan  kī  chamelī  meñ  bāzār  ke  bele  meñ