yuuñ  baḌī  der  se  paimāna  liye  baiThā  huuñ
koī  dekhe  to  ye  samjhe  ki  piye  baiThā  huuñ
āḳhirī  naav  na  aa.ī  to  kahāñ  jā.ūñgā
shaam  se  paar  utarne  ke  liye  baiThā  huuñ
mujh  ko  mālūm  hai  sach  zahr  lage  hai  sab  ko
bol  saktā  huuñ  magar  hoñT  siye  baiThā  huuñ
log  bhī  ab  mire  darvāze  pe  kam  aate  haiñ
maiñ  bhī  kuchh  soch  ke  zanjīr  diye  baiThā  huuñ
zindagī  bhar  ke  liye  ruuTh  ke  jaane  vaale
maiñ  abhī  tak  tirī  tasvīr  liye  baiThā  huuñ
kam  se  kam  ret  se  āñkheñ  to  bacheñgī  'qaisar'
maiñ  havāoñ  kī  taraf  piiTh  kiye  baiThā  huuñ