muntashir  zehn  kī  sochoñ  ko  ikaTThā  kar  do
tum  jo  aa  jaao  to  shāyad  mujhe  tanhā  kar  do
dar-o-dīvār  pe  paḌhtā  rahūñ  nauha  kal  kā
is  ujāle  se  to  behtar  hai  añdherā  kar  do
ai  mire  ġham  kī  chaTāno  kabhī  mil  kar  TuuTo
is  qadar  zor  se  cīḳho  mujhe  bahrā  kar  do
jā  rahe  ho  to  mire  ḳhvāb  bhī  lete  jaao
dil  ujāḌā  hai  to  āñkhoñ  ko  bhī  sahrā  kar  do
kuchh  nahīñ  hai  to  ye  pindār-e-junūñ  hai  kīsar
tum  ko  mil  jaa.e  girebāñ  to  tamāshā  kar  do