Qaisarul Jafri

ye zindagi hai ki aaseb ka safar hai miyan

Qaisarul Jafri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1926-2005

ye zindagī hai ki aaseb safar hai miyāñ

charāġh le ke nikalnā baḌā hunar hai miyāñ

pata chale jo mohabbat dard le ke chalo

mire makāñ galī kitnī muḳhtasar hai miyāñ

nahā.eñgī mirī zau meñ hazār-hā sadiyāñ

maiñ vo charāġh nahīñ huuñ jo raat bhar hai miyāñ

tumhārī raat pe itnā tabsira hai bahut

makīñ añdhere meñ haiñ chāñdnī meñ ghar hai miyāñ

likhā hai vaqt ne sadiyoñ safar ke ba.ad use

ye daur jhuuT sahī phir bhī mo'atabar hai miyāñ

milegī raakh na tum ko hamāre chehre par

badan meñ rah ke sulagnā baḌā hunar hai miyāñ

ab intizār tāqat nahīñ rahī 'qaisar'

kuchh aur roz na sochā to sab khañDar hai miyāñ

Top Urdushayar.com