Qaisarul Jafri

chandni tha ki ghazal tha ki saba tha kya tha

Qaisarul Jafri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1926-2005
chāñdnī thā ki ġhazal thā ki sabā thā kyā thā
maiñ ne ik baar tirā naam sunā thā kyā thā
ab ke bichhḌe haiñ to lagtā hai ki kuchh TuuT gayā
merā dil thā ki tirā ahd-e-vafā thā kyā thā
ḳhud-kushī kar ke bhī bistar se uThā huuñ zinda
maiñ ne kal raat ko jo zahr piyā thā kyā thā
tum to kahte the ḳhudā tum se ḳhafā hai 'qaisar'
Dūbte vaqt vo jo ik haath baḌhā thā kyā thā
Top Urdushayar.com