tumhāre  shahr  kā  mausam  baḌā  suhānā  lage
maiñ  ek  shaam  churā  luuñ  agar  burā  na  lage
tumhāre  bas  meñ  agar  ho  to  bhuul  jaao  mujhe
tumheñ  bhulāne  meñ  shāyad  mujhe  zamāna  lage
jo  Dūbnā  hai  to  itne  sukūn  se  Duubo
ki  ās-pās  kī  lahroñ  ko  bhī  patā  na  lage
vo  phuul  jo  mire  dāman  se  ho  ga.e  mansūb
ḳhudā  kare  unheñ  bāzār  kī  havā  na  lage
na  jaane  kyā  hai  kisī  kī  udaas  āñkhoñ  meñ
vo  muñh  chhupā  ke  bhī  jaa.e  to  bevafā  na  lage
tū  is  tarah  se  mire  saath  bevafā.ī  kar
ki  tere  ba.ad  mujhe  koī  bevafā  na  lage
tum  aañkh  muuñd  ke  pī  jaao  zindagī  'qaisar'
ki  ek  ghūñT  meñ  mumkin  hai  bad-maza  na  lage