ahd-e-junūñ  meñ  baiThe  baiThe  jo  ġhazleñ  likh  Daalī  thiiñ
ham  ko  rusvā  duniyā  bhar  ko  pāgal  karne  vaalī  thiiñ
āñkhoñ  meñ  vo  shaam  kā  TukḌā  aksar  chubhtā  rahtā  hai
ghar  meñ  āñdhī  jab  aa.ī  thī  sham.eñ  jalne  vaalī  thiiñ
chāñd  sitāre  TuuT  rahe  the  ḳhvāboñ  kī  añgnā.ī  meñ
aañkh  khulī  to  dekhā  ghar  kī  sab  dīvāreñ  kaalī  thiiñ
chuTkī  bhar  ummīd  nahīñ  thī  kaasa  le  kar  kyā  phirte
shahr-e-vafā  kī  saarī  galiyāñ  apnī  dekhī-bhālī  thiiñ
pyaar  kā  mausam  biit  chukā  thā  bastī  meñ  jab  pahuñche  ham
logoñ  ne  phūloñ  ke  badle  talvāreñ  mañgvā  lī  thiiñ
'qaisar'  dil  kā  haal  sunā  kar  jab  yāroñ  kā  muñh  dekhā
sab  ke  chehre  sūkhe  sūkhe  sab  kī  āñkheñ  ḳhālī  thiiñ