dānishvaroñ  ke  bas  meñ  ye  radd-e-amal  na  thā
maiñ  aisī  teġh  le  ke  uThā  jis  meñ  phal  na  thā
kyā  dard  TuuT  TuuT  ke  barsā  hai  raat  bhar
itnā  ġhubār  to  mire  chehre  pe  kal  na  thā
pathrāv  kar  rahā  hai  vo  ḳhud  apnī  zaat  par
kyā  dil  ke  mas.ale  kā  koī  aur  hal  na  thā
shāḳheñ  ladī  huī  thiiñ  to  patthar  na  thā  nasīb
patthar  paḌe  mile  to  daraḳhtoñ  meñ  phal  na  thā
shab  kī  havā  se  haar  ga.ī  mere  dil  kī  aag
yaḳh-basta  shahr  meñ  koī  radd-o-badal  na  thā
ab  ek  ek  harf  se  chhantī  hai  raushnī
tum  se  mile  na  the  to  ye  husn-e-ġhazal  na  thā
'qaisar'!  zamīr-e-vaqt  ko  dekhā  kured  ke
sadiyāñ  rakhī  thiiñ  dosh  pe  muTThī  meñ  pal  na  thā