is  tarah  āñkhoñ  ko  nam  dil  par  asar  karte  hue
jā  rahā  hai  kaun  nezoñ  par  safar  karte  hue
zindagī  fāqoñ  ke  saa.e  meñ  basar  karte  hue
jī  rahā  huuñ  ḳhūn-e-dil  ḳhūn-e-jigar  karte  hue
likh  rahā  huuñ  naam  bachchoñ  ke  ġhamoñ  kī  jā.idād
un  kī  sub.h-e-zindagī  ko  dopahar  karte  hue
itne  vahshat-nāk  manzar  putliyoñ  meñ  bas  ga.e
ḳhvāb  bhī  Darne  lage  āñkhoñ  meñ  ghar  karte  hue
sīna-e-mauj-e-ravāñ  ko  ābloñ  se  bhar  diyā
pyaas  kī  shiddat  ne  paanī  par  asar  karte  hue
vaqt  kī  raftār  se  bhī  tez  chalnā  hai  mujhe
jā  rahā  huuñ  ab  havā  ko  ham-safar  karte  hue
jaane  kitnī  Thokareñ  khā.īñ  haiñ  maiñ  ne  ai  'razā'
e'tidāl-e-zindagī  ko  tez-tar  karte  hue