yūñhī  zālim  kā  rahā  raaj  agar  ab  ke  baras
ġhair-mumkin  hai  rahe  dosh  pe  sar  ab  ke  baras
jism  bo.eñge  sitamgār  anājoñ  kī  jagah
aur  fasloñ  kī  tarah  kāTeñge  sar  ab  ke  baras
zehn  se  kaam  lo  aur  moḌ  do  tūfān  kā  ruḳh
varna  aañsū  meñ  hī  bah  jā.eñge  ghar  ab  ke  baras
jaane  kis  vaqt  ajal  aap  ko  lene  aa  jaa.e
saath  hī  rakhiyegā  sāmān-e-safar  ab  ke  baras
naḳhl-e-hasrat  ko  na  ashkoñ  kī  namī  do  varna
aur  mahkegā  gul-e-zaḳhm-e-jigar  ab  ke  baras
ab  na  ghabrāo  ki  miTne  ko  hai  zālim  kā  vajūd
ḳhūn-e-mazlūm  dikhā.egā  asar  ab  ke  baras