zindagī  ab  is  qadar  saffāk  ho  jā.egī  kyā
bhuuk  hī  mazdūr  kī  ḳhūrāk  ho  jā.egī  kyā
mere  qātil  se  koī  ai  kaash  itnā  pūchh  le
ye  zamīñ  mere  lahū  se  paak  ho  jā.egī  kyā
har  taraf  uryāñ-tanī  ke  jashn  hoñge  roz  o  shab
is  qadar  tahzīb-e-nau  bebāk  ho  jā.egī  kyā
baḌh  gayā  saaya  agar  qad  se  to  baḌhne  dījiye
ḳhaak  uḌ  kar  hamsar-e-aflāk  ho  jā.egī  kyā
qaid-e-hastī  se  ba-mushkil  ho  sakā  thā  maiñ  rihā
merī  miTTī  kāsa-gar  kā  chaak  ho  jā.egī  kyā
saarī  duniyā  Dhal  rahī  hai  maġhribī  tahzīb  meñ
be-hayā.ī  ab  mirī  poshāk  ho  jā.egī  kyā
vāqa.ī  dariyā-e-ġham  ke  tez  dhāroñ  meñ  'razā'
zindagī  merī  ḳhas-o-ḳhāshāk  ho  jā.egī  kyā