ye  kis  dayār  ke  haiñ  kis  ke  ḳhāndān  se  haiñ
asiir  ho  ke  bhī  jo  log  itnī  shaan  se  haiñ
mile  uruuj  to  maġhrūr  mat  kabhī  honā
bulandiyoñ  ke  sabhī  rāste  Dhalān  se  haiñ
tum  apne  ūñche  mahal  meñ  raho  magar  socho
tumhāre  saa.e  meñ  kuchh  log  be-nishān  se  haiñ
zamīn-e-karb  kī  har  fasl  kā  jo  mālik  hai
hamāre  dard  ke  rishte  isī  kisān  se  haiñ
mahak  rahe  haiñ  gul-e-zaḳhm-e-ārzū  har  pal
mirī  hayāt  ke  sab  rañg  zāfrān  se  haiñ
sunā  rahe  haiñ  vahī  dāstān-e-zulm-o-sitam
hamārī  aañkh  meñ  aañsū  jo  be-zabān  se  haiñ
kahāñ  tak  aap  chhupā.eñge  dāstān-e-sitam
kitāb-e-jism  pe  ab  bhī  ka.ī  nishān  se  haiñ
ye  kaun  tujh  ko  bachā.e  hai  har  balā  se  'razā'
ye  kis  ke  haath  tire  sar  pe  āsmān  se  haiñ