Raza Mauranvi

ye waqt jab bhi lahu ka KHiraj mangta hai

Raza Mauranvi

ye vaqt jab bhī lahū kā ḳhirāj māñgtā hai
hamāre jism meñ zaḳhmoñ ke phuul Tāñktā hai
ye āftāb nahīñ detā chāñd ko kirneñ
tamām din kī masāfat kā dard bāñTtā hai
bujhegī kaise ḳhudā jaane us ke peT kī aag
ye surḳh surḳh sā sūraj sitāre phāñktā hai
hamāre sabr ne us ko thakā diyā itnā
ye mo.ajaza hai ki maqtal meñ zulm hāñptā hai
maiñ terī shān-e-fazīlat meñ kaise likkhūñ ġhazal
mirā qalam hī nahīñ harf harf kāñptā hai
na jaane kaun se mausam kā hai vo dīvāna
abhī talak unhīñ galiyoñ kī ḳhaak chhāntā hai
'razā' maiñ nazreñ milā.ūñ to kis tarah us se
haqīqatan mire kirdār meñ vo jhāñktā hai
Top Urdushayar.com