ye  vaqt  jab  bhī  lahū  kā  ḳhirāj  māñgtā  hai
hamāre  jism  meñ  zaḳhmoñ  ke  phuul  Tāñktā  hai
ye  āftāb  nahīñ  detā  chāñd  ko  kirneñ
tamām  din  kī  masāfat  kā  dard  bāñTtā  hai
bujhegī  kaise  ḳhudā  jaane  us  ke  peT  kī  aag
ye  surḳh  surḳh  sā  sūraj  sitāre  phāñktā  hai
hamāre  sabr  ne  us  ko  thakā  diyā  itnā
ye  mo.ajaza  hai  ki  maqtal  meñ  zulm  hāñptā  hai
maiñ  terī  shān-e-fazīlat  meñ  kaise  likkhūñ  ġhazal
mirā  qalam  hī  nahīñ  harf  harf  kāñptā  hai
na  jaane  kaun  se  mausam  kā  hai  vo  dīvāna
abhī  talak  unhīñ  galiyoñ  kī  ḳhaak  chhāntā  hai
'razā'  maiñ  nazreñ  milā.ūñ  to  kis  tarah  us  se
haqīqatan  mire  kirdār  meñ  vo  jhāñktā  hai