ḳhushk  dāman  pe  barasne  nahīñ  detī  mujh  ko
merī  ġhairat  kabhī  rone  nahīñ  detī  mujh  ko
ek  ḳhvāhish  hai  jo  muddat  se  galā  ghoñTe  hai
ik  tamannā  hai  jo  marne  nahīñ  detī  mujh  ko
zindagī  roz  nayā  dard  sunātī  hai  magar
apne  aañsū  kabhī  chhūne  nahīñ  detī  mujh  ko
dil  to  ahbāb  se  milne  ko  bahut  chāhtā  hai
muflisī  ghar  se  nikalne  nahīñ  detī  mujh  ko
kuchh  to  kānoñ  ko  satātā  hai  ye  tanhā.ī  kā  shor
kuchh  mirī  ḳhāmushī  sone  nahīñ  detī  mujh  ko
fikr  ġhurbat  kī  mire  pīchhe  paḌī  ho  jaise
chain  se  luqma  nigalne  nahīñ  detī  mujh  ko
le  to  aatī  hai  zarūrat  mujhe  bāzāroñ  tak
ik  anā  hai  ki  jo  bikne  nahīñ  detī  mujh  ko
itnā  ehsān  to  kartī  hai  'razā'  mujh  pe  hayāt
TuuT  jā.ūñ  to  bikharne  nahīñ  detī  mujh  ko