savāl-e-dīd  pe  tevrī  chaḌhā.ī  jaatī  hai
majāl-e-dīd  pe  bijlī  girā.ī  jaatī  hai
ḳhudā  ba-ḳhair  kare  zabt-e-shauq  kā  anjām
naqāb  merī  nazar  se  uThā.ī  jaatī  hai
isī  ko  jalva-e-īmān-e-ishq  kahte  haiñ
hujūm-e-yās  meñ  bhī  aas  paa.ī  jaatī  hai
ab  aa  ga.e  ho  to  aur  ik  zarā  Thahar  jaao
abhī  abhī  mirī  mayyat  uThā.ī  jaatī  hai
mire  qayās  ko  apnī  talāsh  meñ  kho  kar
mire  havās  ko  duniyā  dikhā.ī  jaatī  hai