ibtidā-e-ishq  hai  lutf-e-shabāb  aane  ko  hai
sabr  ruḳhsat  ho  rahā  hai  iztirāb  aane  ko  hai
qabr  par  kis  shaan  se  vo  be-naqāb  aane  ko  hai
āftāb-e-sub.h-e-mahshar  ham-rikāb  aane  ko  hai
mujh  tak  us  mahfil  meñ  phir  jām-e-sharāb  aane  ko  hai
umr-e-rafta  palTī  aatī  hai  shabāb  aane  ko  hai
haa.e  kaisī  kashmakash  hai  yaas  bhī  hai  aas  bhī
dam  nikal  jaane  ko  hai  ḳhat  kā  javāb  aane  ko  hai
ḳhat  ke  purze  nāma-bar  kī  laash  ke  hamrāh  haiñ
kis  DhiTā.ī  se  mire  ḳhat  kā  javāb  aane  ko  hai
nā-umīdī  maut  se  kahtī  hai  apnā  kaam  kar
aas  kahtī  hai  Thahar  ḳhat  kā  javāb  aane  ko  hai
ruuh  ghabrā.ī  huī  phirtī  hai  merī  laash  par
kyā  janāze  par  mere  ḳhat  kā  javāb  aane  ko  hai
bhar  ke  saaqī  jām-e-mai  ik  aur  lā  aur  jald  lā
un  nashīlī  añkhḌiyoñ  meñ  phir  hijāb  aane  ko  hai
ḳhāna-e-tasvīr  meñ  aane  ko  hai  tasvīr-e-yār
aa.ine  meñ  qadd-e-āmdam  āftāb  aane  ko  hai
phir  hinā.ī  hone  vaale  haiñ  mire  qātil  ke  haath
phir  zabān-e-teġh  par  rañg-e-shahāb  aane  ko  hai
gudgudātā  hai  tasavvur  chuTkiyāñ  letā  hai  dard
kyā  kisī  be-ḳhvāb  kī  āñkhoñ  meñ  ḳhvāb  aane  ko  hai
dekhiye  maut  aa.e  'fānī'  yā  koī  fitna  uThe
mere  qaabū  meñ  dil-e-be-sabr-o-tāb  aane  ko  hai