dil  kī  taraf  hijāb-e-takalluf  uThā  ke  dekh
ā.īna  dekh  aur  zarā  muskurā  ke  dekh
is  daur  meñ  ye  tarz-e-jafā  aazmā  ke  dekh
dil  ke  bajā.e  dil  ke  sukūñ  ko  miTā  ke  dekh
taslīm  kī  nazar  se  karishme  razā  ke  dekh
begāngi-e-dost  ko  apnā  banā  ke  dekh
is  shorish-e-hayāt  ko  had  se  baḌhā  ke  dekh
ye  fitna  aur  hashr  se  pahle  uThā  ke  dekh
yuuñ  dekhtā  hai  tīrgī-e-āb-o-gil  meñ  kyā
sholoñ  se  khel  dil  ko  jalā  aur  jalā  ke  dekh
har  zindagī  kā  naam  na  rakh  dil  kī  zindagī
īmān  zindagī  pe  na  lā  aazmā  ke  dekh
terī  tajalliyoñ  se  kisī  tarah  kam  nahīñ
dil  kī  tajalliyoñ  ko  kabhī  dil  meñ  aa  ke  dekh
ab  ke  adā-e-ḳhās  se  kar  imtihān-e-dil
jo  barq  tuur  par  na  girī  ho  girā  ke  dekh
haañ  ahl-e-dil  ke  haal  se  ġhaflat  muhāl  hai
achchhā  yaqīñ  nahīñ  to  mujhī  ko  bhulā  ke  dekh
duniyā  ko  dekhnā  to  mayassar  nahīñ  tujhe
zarre  ko  dekhnā  hai  to  duniyā  banā  ke  dekh
'fānī'  safīna  ab  bhī  na  Duube  to  kyā  kare
tūfān  ko  na  dekh  sitam  nā-ḳhudā  ke  dekh