justujū-e-nashāt-e-mub.ham  kyā
dil  mayassar  hai  lazzat-e-ġham  kyā
masti-e-hosh  ke  fasāne  haiñ
jashn-e-parvez  o  ishrat-e-jam  kyā
ek  aalam  ko  dekhtā  huuñ  maiñ
ye  tirā  dhyān  hai  mujassam  kyā
izn  hañgāma-e-nigāh  na  de
kyā  hamārī  bisāt  aur  ham  kyā
nañg-e-rahmat  hai  ehtiyāj-e-duā
intizār-e-gadā-e-mubram  kyā
merī  fitrat  hai  gosh  bar  āvāz
sun  rahā  huuñ  navā-e-mehram  kyā
miT  gayā  nām-e-āshiqī  ab  aur
chāhtā  hai  vo  husn-e-barham  kyā
kaash  pūchho  to  kuchh  batā.eñ  ham
hāsil-e-shikva  haa.e  bāham  kyā
dil  kamāl-e-hayāt  hai  'fānī'
dil  ke  maare  huoñ  kā  mātam  kyā