kisī  ke  ek  ishāre  meñ  kis  ko  kyā  na  milā
bashar  ko  ziist  milī  maut  ko  bahāna  milā
mazāq-e-talḳh-pasandī  na  pūchh  is  dil  kā
baġhair  marg  jise  ziist  kā  mazā  na  milā
dabī  zabāñ  se  mirā  haal  chārasāz  na  kah
bas  ab  tū  zahr  hī  de  zahr  meñ  davā  na  milā
ḳhudā  kī  den  nahīñ  zarf-e-ḳhalq  par  mauqūf
ye  dil  bhī  kyā  hai  jise  dard  kā  ḳhazāna  milā
duā  gadā-e-asar  hai  gadā  pe  takiya  na  kar
ki  e'timād-e-asar  kyā  milā  milā  na  milā
zuhūr-e-jalva  ko  hai  ek  zindagī  darkār
koī  ajal  kī  tarah  der-āshnā  na  milā
talāsh-e-ḳhizr  meñ  huuñ  rū-shanās-e-ḳhizr  nahīñ
mujhe  ye  dil  se  gila  hai  ki  rahnumā  na  milā
nishān-e-mehr  hai  har  zarra  zarf-e-mehr  nahīñ
ḳhudā  kahāñ  na  milā  aur  kahīñ  ḳhudā  na  milā
mirī  hayāt  hai  mahrūm-e-muddā-e-hayāt
vo  rahguzar  huuñ  jise  koī  naqsh-e-pā  na  milā
vo  nā-murād-e-ajal  bazm-e-yās  meñ  bhī  nahīñ
yahāñ  bhī  'fānī'-e-āvāra  kā  patā  na  milā