jab  pursish-e-hāl  vo  farmāte  haiñ  jāniye  kyā  ho  jaatā  hai
kuchh  yuuñ  bhī  zabāñ  nahīñ  khultī  kuchh  dard  sivā  ho  jaatā  hai
ab  ḳhair  se  un  kī  bazm  kā  itnā  rañg  to  badlā  mere  ba.ad
jab  naam  mirā  aa  jaatā  hai  kuchh  zikr-e-vafā  ho  jaatā  hai
yaktā-e-zamāna  hone  par  sāhab  ye  ġhurūr  ḳhudā.ī  kā
sab  kuchh  ho  magar  ḳhākam-ba-dahan  kyā  koī  ḳhudā  ho  jaatā  hai
qatra  qatra  rahtā  hai  dariyā  se  judā  rah  sakne  tak
jo  tāb-e-judā.ī  lā  na  sake  vo  qatra  fanā  ho  jaatā  hai
phir  dil  se  'fānī'  saare  ke  saare  naqsh-e-jafā  miT  jaate  haiñ
jis  vaqt  vo  zālim  sāmne  aa  kar  jān-e-hayā  ho  jaatā  hai