nahīñ  manzūr  tap-e-hijr  kā  rusvā  honā
tere  bīmār  kā  achchhā  nahīñ  achchhā  honā
nāsehā  vus.at-e-kāshāna  junūñ-ḳhez  nahīñ
varna  kyā  farz  hai  āvāra-e-sahrā  honā
bas  ab  ai  zabt  ziyāda  mujhe  mahjūb  na  kar
hai  mirī  aañkh  kī  taqdīr  meñ  dariyā  honā
kis  se  khulte  haiñ  tirī  zulf-e-girah-gīr  ke  bal
koī  āsān  hai  ye  uqda-e-dil  vā  honā
nigah-e-nāz  ko  āsāñ  dam-e-ḳhanjar  banñā
lab-e-jāñ-baḳhsh  ko  dushvār  masīhā  honā
haa.e  bātoñ  meñ  tirī  laġhzish-e-mastāna-e-nāz
haa.e  āñkhoñ  meñ  tirī  nashsha-e-sahbā  honā
hama-tan  dāġh-e-ġham-e-ishq-e-butāñ  huuñ  'fānī'
dil  se  bhātā  hai  mujhe  naqsh-e-suvaidā  honā