aah  se  yā  aah  kī  tāsīr  se
jī  bahal  jaatā  kisī  tadbīr  se
ab  se  ġham  sahne  kī  aadat  hī  sahī
sulh  kar  leñ  laao  charḳh-e-pīr  se
jabr  ko  kyūñkar  na  samjhūñ  iḳhtiyār
tum  ne  bāñdhā  hai  mujhe  zanjīr  se
kaam  ab  us  tadbīr  par  hai  munhasir
vāsta  jis  ko  na  ho  taqdīr  se
us  nigāh-e-nāz  kā  allāh  re  faiz
nisbateñ  haiñ  zaḳhm-e-dil  ko  tiir  se
hoshiyār  o  shoḳh-e-be-parvā-ḳhirām
bach  ke  merī  ḳhāk-e-dāman-gīr  se
ishq-e-'fānī'  us  pe  apnī  ye  bisāt
kheltī  haiñ  bijliyāñ  tasvīr  se