adā  se  aaḌ  meñ  ḳhanjar  ke  muñh  chhupā.e  hue
mirī  qazā  ko  vo  laa.e  dulhan  banā.e  hue
ilāhī  kyuuñ  nahīñ  hotī  koī  balā  nāzil
asar  hai  der  se  dast-e-duā  uThā.e  hue
tirī  lagā.ī  huī  aag  hashr  tak  na  bujhī
hue  na  mar  ke  bhī  ThanDe  tire  jalā.e  hue
balā-e-jāñ  hai  magar  phir  bhī  aarzū  hai  tirī
ham  us  ko  apne  kaleje  se  haiñ  lagā.e  hue
sahar  huī  ki  vo  yādash-ba-ḳhair  aatā  hai
charāġh  haiñ  mirī  turbat  ke  jhilmilā.e  hue
tumhīñ  kaho  ki  tumheñ  apnā  samajh  ke  kyā  paayā
magar  yahī  ki  jo  apne  the  sab  parā.e  hue
kisī  kā  haa.e  vo  maqtal  meñ  is  tarah  aanā
nazar  bachā.e  hue  āstīñ  chaḌhā.e  hue
ajal  ko  muzhda-e-fursat  ki  aaj  'fānī'-e-zār
umīd-e-vasl  se  baiThā  hai  lau  lagā.e  hue